Posts

Shayri Dil se

                                Ek nanhi si jaan hu mai  Ek nanhi si jaan hu mai bass udna chahiti hu, Apne hi banae daeron me khush rehna chahti hu. Kuch rishte hain pyare mujhko sang unke jeena chahti hu, Kad ho chahe chota sa , mai  karna kuch bada sa chahti hu. Mai chahti hu ek Manzil ho , jaha khadi hu khud ke pairo pe mai. Mai chahti nahi auron se bair rakhna , mai bass khud se ladna chahti hu.

SHAYRI DIL SE : PAANI

                                         PAANI Aaj mai baat karugi uski jiska hamari zindagi me ek ehem kirdar hai, Agar wo na ho to sansen tham jaen , Dil dhadakna band karde zindgi ki akhiri sans bhi bass uski hi mohtaj hai. Uske bina zindagi namumkin hai.   Gaur karo  jab thak haar kar tadap jate ho , to tumhe bass wo hi chahiye , uske milne pe hi tumhe sukoon milta hai.   Us waqt to wo tumhare liye sabb se aziz hota hai. Fir , Jab tumhe mehsoos hota hai ki bass, ab uski zarurat nahin rahi. Tumhare liye wo pal bhar me behadd khas se aam ho jata hai. Ye zaruri se mehez zarurat ka safar tum yu ki chutkiyo me tay karr lete ho . Uski ehmiyat kya hai ye bhool  jate ho , uski nakadri pe utar ate ho. Khairrr:: Insani fitrat jiko barish khatm hone pe sarr ko bhigne se bachane wali chatri bhi bojh lagne lagti hai. Ye jante hue ki agar ye na hota  to zindgi se to kuch hi pal me door ho gae hote, pal bhar na milta wo to shayad be jaan se ho jate , jite ji marne ki kagar pe hote hum. Fir aisa k

SHAYRI DIL SE

   KAUN KEHTA HAI Kaun kehta hai ishq me wafae milti hain, Ishq jurm hai isme sazaen milti hain. Koi bewafai karte nahi thakta, Kisi ko har sans pe wafaen milti hain. Wo aya a kar wapas chala gaya, Rakibo se ab uski razaen milti hain. Usne ruswa karne se pehle ek baar na socha, Sirf baat na hone par wo ashk bahae milti hain. Wo daur-e-guftgu bhi kya kamal tha, Ab kaha uske bimar ko shifaen  milti hain. Dil kosta hai khud ko raat bhar ro kar, Shab ko ishq ke badle jazaen milti hain.

Shayri Dil Se

  Bikhar rahi hu mai. Aisi Muhabbat karr rahi hu mai, Badli nahi waqt ke sath sambhal rahi hu mai.  Saikdon nadaniyan kharch karta hai mujhpe wo, Puchte hain log ki kyu itna pighal rahi hu mai. Ab uspe pabandiya hain, khaufnak Manzar hai, Bazi palti hai yu ki ab uski gali se guzar rahi hu mai. Naummid si hu zindagi asan nahi lagti, Khud me wo samet le is ummid ke bikhar rahi hu mai. Wo dante chahe khoob chillae mujhpe, Jaise tension meri wo hota hai ,subah se se uski fikr rahi hu mai. Jaha aaj kal chipate hain log mehfilo me rishte, Wo shayriyo ka meri, uske status me ban zikr rahi hu mai.